Jise zindagi Dhoond rahi hai Kya ye woh makaam mera hai Yahan chain se bas ruk jaun Kyun dil ye mujhe kehta hai Jazbaat naye se mile hai Jane kya asar yeh hua hai Ek aas mili phir mujhko Jo qubool kisi ne kya hai
Kisi shaayar ki ghazal Jo de rooh ko sukoon ke pal Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar Main mausam ki sehar Ya sard mein dopahar Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Jaise koi kinaara Deta ho sahara
Mujhe wo mila kisi mod par Koi raat ka taara Karta ho ujaala Waise hi roshan kare woh shehar
Dard mere woh bhula hi gaya
Kuch aisa asar hua Jeena mujhe phir se wo sikha raha
Jaise baarish kar de tar Ya marham dard par Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar Main mausam ki sehar Ya sard mein dopahar Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Muskata ye chehara Deta hai jo pehara Jaane chupata kya dil ka samandar Auron ko to hardam Saya deta hai
Wo dhup mein hai khada khud magar
Chot lagi hai use phir kyun Mehsoos mujhe ho raha hai Dil tu bata de kya hai iraada tera
Main parinda besabar Tha uda jo darbadar Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar Main mausam ki sehar Ya sard mein dopahar Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar